Friday, 26 May 2017
Ek bachpan ka zamana tha... jisme khushiyon ka khazana tha; chahat chand ko paane ki thi, par dil titli ka deewana tha. Khabar na thi kuch subah ki, na shaam ka thikana tha; thak haarke aana school se, par khelne bhi jaana tha. Maa ki kahani thi, pariyon ka fasana tha; barish mein kagaz ki naav thi, har mausam suhana tha. Har khel mein saathi the, har rishta nibhana tha; gum ki zuban na hoti thi, na zakhmon ka paimana tha. Rone ki wajah na thi, na hansne ka bahana tha; kyon ho gaye hum itne bade, isse achha to woh bachpan ka zamana tha... #athingaday
May 26, 2017 at 05:47PM via Facebook
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment